Koi tha jis ny mujhy apna banaya tha

Meri dunia me ay kar har sapna dikhaya tha

Kya hua jo aaj aankhon me nami hai

Ronaq bhi to in par woi laya tha

Baqi pas mery ab kuch bhi na bacha hai

Dil tha kih woh bhi uss py lutaya tha

Kush fehmi mein mubtala keh wo aya to tha

Dekha keh hath us ny or ko thamaya tha

Bad naseebi keh meri woh phir sy kho gya

Mil na paya ussy kih woh laut kar aya tha

Jo andhery mein ussy kuch dikhai na dia

Ujaaly ki khatir dil Iffat ka jalaya tha