_gaq.push(['_trackPageview']); (function() { var ga = document.createElement('script'); ga.type = 'text/javascript'; ga.async = true; ga.src = ('https:' == document.location.protocol ? 'https://ssl' : 'http://www') + '.google-analytics.com/ga.js'; var s = document.getElementsByTagName('script')[0]; s.parentNode.insertBefore(ga, s); })();
Latest lovely, funny jokes, birthday text messages collections
15 Aug
ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain
dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain
aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain
ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz’
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain
9 Aug
Hum sey “WAFA” ke baare main jo chahe pooch lo,
Leykin “WAFA” ki kia hai “SAZA”ye na poochna.
“RASTE” mein kon kon mila pooch lo mager,
Kis kis ka “SATH” chooT gaya yeh na poochna.
Kiya hum ne “ZINDAGI” kodiya sab ko he khabar,
Kiya “ZINDAGI” ne Hum ko dia ye na poochna.
9 Aug
Jo pyar ke Risthe Hum banate hai
Usey Logoon sey Q chupate Hai
Ager Hota Hai Gunnah kisi ko Pyar karna
To bachpan se Sab pyar kerna Q sikhate hain
9 Aug
Mujhey mohabbaton sey kuch mila he nahi,
Mujhey unsey bhi koi gila nahi.
Q me rastoon ko ilzam doon,
Mera humsafar hi sath chala nahi.
Mai usko bewafa sa lagta hoon,
Jisey khud wafa ka pata nahi.
9 Aug
Muskurati ankhon main aa jate hain ansu
dard dil ka byan kar jatae hain aansu
Bojh jab dil par haad sae barh jaaye
us bojh ko halka kar jaatae hain aansu
In aansoon ki fitrat ko kisne pehchani hai
khushi ho ya gum chalak aate hain aansu
Apse bichra to socha na roun ga kabhi
par yaad apki aatae hi aa jaatae hain aansu.
9 Aug
Hosle Hadon tak azmaya nahi kerte,
Jo hon apne unhen yun sataya nahi kerte,
Chahne waley bhi waqt ke lamhon ki terhan hain,
Beet jaeyin tuh phr lot ke aya nahi kerte.
9 Aug
Roothna mat mujhey manana nahi ata
Door mat jana mujhey paas ana nahi aata
Tum mujhey bhool jau tumhari marzi
main kia keron mujhey tuh bhool jana bhi nahi ata.
9 Aug
Sham Suraj ko dhalna sikha deyti hai,
Shamma parwane ko jalna sikha deti hai,
Girne wale ko takleef to hoti hai magar,
Thoker insan ko chalna sikha deyti hai.
9 Aug
meri khshi ki khatir khud ko sambhal rakhna,
Us ne kaha tha mujh sey apna khayal rakhna,
Woh keh raha tha sahyd kuch na bata sakun main,
Merey samney na tum bhi koi sawal rakhna,
Woh yeh bhi keh raha tha tum kuch bhuula na deyna,
majburion main kudh ko hargiz na dhaal rakhna,
Woh has ke keh Raha tha gham bhi tumhein milein gey,
Leykin na hosla apna nidhal rakhna,
Her bat ka takaza mujh se jo ker raha tha,
Kya us ka haq nahi tha mera khayal rakhna ….???
9 Aug
Rehte ho aaj bhi sanson k bich tum,
Yadoon k bich, kitaboon k bich tum,
Jab bhi Qalam uthata hoon likhne k waste,
Ban k ghazal ajatey ho lafzon k bich tum.