meri khshi ki khatir khud ko sambhal rakhna,
Us ne kaha tha mujh sey apna khayal rakhna,
Woh keh raha tha sahyd kuch na bata sakun main,
Merey samney na tum bhi koi sawal rakhna,
Woh yeh bhi keh raha tha tum kuch bhuula na deyna,
majburion main kudh ko hargiz na dhaal rakhna,
Woh has ke keh Raha tha gham bhi tumhein milein gey,
Leykin na hosla apna nidhal rakhna,
Her bat ka takaza mujh se jo ker raha tha,
Kya us ka haq nahi tha mera khayal rakhna ….???